Batein bahot hai karno ko
Shayad enhe sunate hi raat chali jayegi
Najane meri baat puri Bhi ho paegi
Maine aaj bhi seene main chupa rakhi hai mere sach ki aahat
Naajane jeh mujhe yeh kitna aur jalayegi
Sach boolun Toh abh gam se dosti ho gayi hai
Je meri sunta hai aur hamesha mere sath rehta hai
Ek khusi hi befawa hai jo hamesha shodh kar chali jaati hai
Maine rishton ki doorh bunte Kho diye kitne saal
Aaj us khoye huye waqt ka ehsaas sa Hua hai
Na Jaane kyu meri ankhon par ansuhoon ne dasktak di hai
Shayad Yeh raat khatam hi na hoo
Tanhki meri baat ju hi chalti rahe
Sach bataoon toh abhi kaali raat ke andhere ki Aadat si ho gayi hai
Shayad isi liye mujhe raaton main jagne ki aadat si ho gayi hai
Main abh khudh hasta nahi hoon bas logon main apna mazak banate huye dekta hoon
Main unhe mujh par haste huye dekhta hoon
Kya sakoon milta hai apni yaadoon ki rajai main
Yeh ek cheez hi hai jo mujhe insaan ki is duniya main,
Jo donghi rishton ki thand se bachati hai
Maine raaton ko sona chodh diya hai
Main sirf ratoon main apne rishton ke sach se, duniye se, ship kar milta hoon
Aur apne man ko ek apni ehmiyat ki jhuthi tasali de kar laut aata hoon
Abh jab muskurahat din ke ujale aur Suraj ki kirno ke saath
Mere dil mein jo ghar mera apna hai, wahan aati hai
Toh main ushe daara kar mujhse door bhej deta hoon
Taaki main chain ki need so saku apni yaadon ki rajai me
Apne akelepan mein aur apni sakhoon si tanhai mein
Comments